Monday 9 June 2014

what is jinn

Arabi zaban me jin kisi chupi huwi cheez ko kehte hain lakin istilahi mano me jin ka matlab Allah swt ki wo makhlooq jisko Aag se paida kia gaya aur woh apne maaday ke aitabar se her surat me mutashakil ho sakte hain.
JINAT KI PAIDAISH
Hazrat Adam a.s ki paidaish se taqreeban sawa lakh saal pehle Allah swt ne jinat ko paida farma kar zameen per abad kiya.lakin jub unke bud amal aur khoon rezi hud se barh gaye to Allah swt ne Asman se unke qatal keliye ek lashkar bejha jiska Qaid Iblees (Shaitan) tha. Iblees ne neeche aakar unka qatal e aam shuru kar diya jiski wajah se woh jinat gharo aur khandarat aur kuch zameen ke andar chupne pe majboor hogaye.jub Iblees ko jannat se nikala gaya to woh zameen pe aya aur inhi surkash jinat ko apna sathi banaya
JINN AUR SHAITAN ME FARQ
Muhammad Bin Kab AlQardhi se riwayat hai ke Jinn aur Shayateen Asal ke aitabar se aik hain. Magar imandar jinn ke naam se aur kafir shaitan ke naam se mawsoom hain.matlab jo jinn musalman hoga ussay jinn he kaha jayega aur jo kafir munkir hoga ussay shaitan kaha jayega.
JINNAT KE MAZAHIB
Hazrat Khawaja Hassan Basari r.a farmate hain ke jistarha insano ke mukhtalif mazahib hain usi tarha jinat bhi mukhtalif mazahib rakhte hain jesse Islam, Christianity, Judaism etc

0 comments:

Post a Comment