Saturday, 24 May 2014

Bismillah K Fazail 50 Benefits of Bismillah Ka Wazifa Dua Bismillah Barkat

Taskheer Khalq: Har shakhs ki tamana hoti hai ke taskheer khalq ho. Muashrah mein izzat barhe. Taskheer-e-Khalq ke liye maghrib ki namaz ke baad 66 baar Bismillah parhain. 90 din ka amal hai. Is ka naqsh galay mein pahenna mujarab hai.

Fatah Mandi: Har kaam mein kamyabi aur fatah mandi ke liye namaz-e-fajar ki namaz ke baad 99 baar Bismillah ka wird karna mosar amal hai. Is ka naqsh banwa kar apne paas rakhain. Aap ko har maqsad mein fatah naseeb ho gi.

Dili Muraad: Agar kisi shakhs ki khawahish ho ke us ki tamaam mushkilaat hal ho jayain aur tamaam dili muradain puri hon tou woh shakhs 1,000 baar Bismillah ka wazifa rozana kare. Naqsh Bismillah bhi galay mein pehnay.

Kund Zehni: Agar kisi bachay ka parhne likhne ko dil na chahta ho ya usay sabaq yaad na hota ho. Bismillah Sharif ke naqosh pilane se kund zehni door hoti jati hai. Ilm hasil karne ka shoq paida ho jata hai. 30 din ka amal hai.

Dua Ki Qabooliyat: Agar kisi dua mangne se pehle Bismillah parhi jati hai tou Allah Ta'ala woh dua qabool farma leta hai. Dua ki qabooliyat ke liye 33 baar isay parhna chahiye.

Sar Dard: Sar dard door karne ke liye naqsh Bismillah se behtar koi naqsh nahin hai. Naqsh galay mein ya topi mein rakhna behtar hai.

Karobar Mein Khasara: Agar aap ko apne karobar mein musalsal khasara ho raha ho. Karobar na chalta ho, mali pareshani ho tou sirf 14 din ka amal karain. Baad az namaz Isha 786 martaba Bismillah Shareef ka amal karain. Awwal aur Akhir 33 baar Darood Shareef parhna lazmi hai. Aap ki mali pareshaniyan khatam ho jayain gi Allah ke fazal se Insha'Allah.

Har Qisam Ke Dard Ke Liye: Jism mein dard ho tou 121 baar is ka wird karain aur mareez par dam karain aur pani par dam kar ke pilain.

Dozakh Se Nijat: Agar koi fard chalte phirte Bismillah parhta hai tou woh dozakh ne nijat hasil kar leta hai. Is ke ilawa makhlooq mein us shakhs ki qadr-o-manzlat barh jati hai. Har koi us ki izzat aur ahtram karta hai.

Talism Khatam Karne Ke Liye: Tilism khatam karne ka khawahish mand 786 times isay parh kar tilism par dam shuru kar de tou talism ka khatma ho jata hai.

Rizq Mein Izafa: Rizq mein barkat ke liye maghrib ki namaz parh kar 199 baar Bismillah ka wird karna apna mamool bana lay. Ye 180 din ka amal hai.

Baraye Jaiz Mohabbat: Agar koi kisi dusre fard ko apna garwedah banana chahta ho tou Bismillah Shareef koo 99 baar isha ke baad parhe tou Insha'Allah Jaez Muhabbat paida ho jaye gi. Ye amal sirf 90 din ka hai aur sirf miyan biwi mein mohabbat aur pyar paida karne ke liye hai.
 
Zalim Hakam Se Nijat: Agar awaam hakam ke zulam se preshan hon tou zohar ki namaz ke baad 786 martaba awaam wird karain tou hakam ke zulam se nijat mil jaye gi. 41 din tak ye amal karain.

Chori Se Hifazat: Ghar ko chori aur dakay se mehfoz rakhne ke liye sotay waqt 66 baar Bismillah ka wazifa karain aur naqash banwa kar ghar mein deewar par lagayain.

Zulm Se Khalasi: Zalim ke zulm se bachne ke liye 99 baar parhain.

Margi Ya Pagal pan Se Nijat: Agar kisi ko margi ka dora parta ho ya junoon mein mubtla ho tou us shakhs ke kaan mein 66 baar Bismillah parhne se shafayabi hasil hasil hoti hai. 90 dinon tak karain.

Saas Bahu Ka Jhagda: Saas aur bahu ke jhagre ki wajah se jis ghar mein sakoon na ho wahan 786 baar Bismillah parh kar pani par dam kar ke dono ko pilayain is amal ko 90 days karain aur naqsh pehan lain tou woh bhi baes khair-o-barkat hai.

Hajat Rawai: Kisi par koi mushkil aa paray jo kisi bhi tarah hal na hoti ho, har taraf mayoosi hi mayoosi nazar aati ho tou baad az namaz magrib aik hazar baar (1000) Bismillah parhain aur 90 din jari rakhain. Insha'Allah har hajat puri ho gi. Allah ki rehmat barasti nazar aye gi.

0 comments:

Post a Comment